Comment OR Visit FeedBack

html>

Sunday, 30 December 2012

dil gayaa tum ne liyaa ham kyaa karen


dil gayaa tum ne liyaa ham kyaa karen

dil gayaa tum ne liyaa ham kyaa karen jaanevaalii chiiz kaa Gam kyaa karen
puure honge apne armaaN kis tarah shauq behad waqt hai kam kyaa karen
baksh den pyaar kii gustaaKhiyaaN dil hii qabuu men nahiin, ham kyaa karen
ek saaGar par hai apnii zindagii raftaa raftaa is se bhii kam kyaa karen
kar chuke sab apnii-apnii hikmaten dam nikaltaa hai ai mere hamdam kyaa karen
dil ne siikhaa shevaa-e-begaanagii aise naamuharim ko muharim kyaa karen
maamlaa hai aaj husn-o-ishq kaa dekhiye vo kyaa karen ham kyaa karen
kah rahe hain ahal-e-sifaarish mujhse "Daag" terii qismat hai burii ham kyaa karen

Shehar khaamosh ba'yabaaN khaamosh


Shehar khaamosh ba'yabaaN khaamosh

Shehar khaamosh ba'yabaaN khaamoshDayaar-e-khird ma gumaaN khaamosh
Lab basta khaRa hooN maqtal maDe raha hooN ma ik azaaN khaamosh
Dil ma aahat thi teri yaadoN kiHo gaya dard ka jahaaN khaamosh
Din ma hangaam-e-lutf-e-karb thaRaat ma dard tha jawaaN khaamosh
DhaRkanoN ka nagar, ye teri galiDil bhi aa kar hua kahaaN khaamosh
Baat kaise baRhe bata faysalWo wahaaN chup to ham yahaaN khaamosh

Mere lab o qalam ke ajz ko


Mere lab o qalam ke ajz ko

Mere lab o qalam ke ajz ko koi aisa hunar e kamal deJo meri khwahishoN ke jhund ko takmeel ke darje ma dhal de
Meri khilwatoN ke ay razdaaN, meri jalwatoN ke rafiq sunKissi se kuch bhi gharaz nahi, mujhe apna aks e khayaal de
Kabhi yooN bhi ho ke wo choom kar mere in laboN ko payar seMeri rooh ke zakhm samait le, mujhe jaaN'kani se nikaal de
Teri chahatoN ke dais ma mere roz o shab tamam hoNTere bichaRne ka koi dar na ho mujhe aise maah o saal de
Meri be'basi ko zubaaN mile, meri kam'nigaahi ujaal deKe jahaaN se kuch na talab rahe, mujhe aisa izn e sawal de
Mujhe um'r bhar naseeb ho, meri zindagi pe moheet hoJo kabhi bhi khatm na ho sake, mujhe aisa koi wisaal de

Samay samay ki khalish main tera malaal rahy


Samay samay ki khalish main tera malaal rahy

Samay samay ki khalish main tera malaal rahyJudaiiyon main bhii yun aalam-e-wisaal rahy
Ana kii jang main hum jeet to gaye lakinPhir uss ke baad der tak nidhaal rahy
Raah-e-junoon main ye hii zaad-e-raah hota haiKe justaju barhay deewangii bahaal rahy
Haseen raatain bhii mehkain tumharii yaadon mainKarray dino main bhii pal pal tera khayaal rahy
Tu ek baar zara kashtiyaan jala to sahiiHai kiya majaal ke ek lamha bhii zawaal rahy

Marne K Baad Ye Kahani likhna


Marne K Baad Ye Kahani likhna ..

Marne K Baad Ye Kahani likhna ..Kaise Hoye Barbad Meri jawane likhnaMain Rota Tha Uski Yaad Mein Ye Barbade LikhnaMain Us Bewafa Ko Kyun Nahi Bhool Jata Ye Sachaye LikhnaBar Bar Uski Yaad Satati Hai Main Uski Yaad Me Rote Rehta Ho Ye Aankho Se Gire Ek Ek Aansoun Ki Gawahi LikhnaPyaar Sirf Dhoka Hai Ye Sachaiye LikhnaMere Dil Me Itna Dard Kyun Hai Ya Khuda Main Kaise Jiyoun Us K Bina Ye Dewaangi LikhnaKyun Usne Chood Diya Pal Bhar Ka Sath Nibha KarPyaar Ka Ye Khail Khail Ke ye darya Me Dobe Hoye Ye Pyaar Ki KahaneLikhna....Saans Chub Rahi Hai Aisa Lagraha hai Main har Ek Pal Mar raha hon Tothe Har ek saans Ki tadap Ko likhna Marne K Baad Ye Kahani Likhna Kaise Hoye barbad Meri Jawana likhna

Apne dushman ko bhi palkon pe bitthane waley


Apne dushman ko bhi palkon pe bitthane waley

Apne dushman ko bhi palkon pe bitthane waleyhaye aaye na hame dhang zamane waley

aankhon hi aankho mai parr lete thai baten dil kiab nahi log wo Ghalib k zamane waaley

ab galey lagne ko kehte hen hamen manzil parbeech rastey mei hamen chhorh k janey waley

rah mei meri jinhe sang bichhate payaye wahi thai mujhe phulon pe chalane waley

tanz k teer wahi raah mai barsate henjo hey dunya ki nigahon se girane waley

dil hi dil mei na kabhi karna mohabbat Mahrookhnahi chaltey yahan chahat k chhupane waley

Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye


Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye

Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye
Khuda kare ke shab-e-gham ki sahar ho jaye

Khula rahe ga ye darwaza tere aane tak
Laot kar aana kahiN shaam agar ho jaye

Abas hai aarzoo karna bhi raoshni ki
yahaN Diya jale to hawaaoN ki nazar ho jaye

Jab bhi aati hai teri yaad liye aati hai
Raat tanha kabhi aaye to basar ho jaye

Tu kabhi chashm-e-tasawwur se unhaiN
dekh zara ManziloN pe jinhaiN dar'paish safar ho jaye

Lamha lamha mera, malaal ka hai


Lamha lamha mera, malaal ka hai

Lamha lamha mera, malaal ka haisilsila ye to mahh-o saal ka hai

saarey lamhy hain hijr key lamheyik lamha terey wasaal ka bhi hai

jeet leta hai dil tu baaton sayye huner bhi tera kamaal ka hai

aur kuch dair tou thaher jaowaqt dekho abhi zawaal ka hai

ye jo husn-e-khayaal hai meraaks ye bhi terey jamaal ka hai

mai khan koi shair kehti hunye karishma terey khayaal ka hai

jaan dey dun mai pal bhar maiMuntazir bas terey sawaal ka hai

Chalo k hum tum nazar ki basti main piyaar apna basa k dekhain


Chalo k hum tum nazar ki basti main piyaar apna basa k dekhain

Chalo k hum tum nazar ki basti main piyaar apna basa k dekhainzamanay bhar ki kadoratoun ko muhabbatoun se mita k dekhain
andheri rahon main ban k jugno dikhaaen rasta musafiroun kohar eak dil ko karain munawwar nazar nazar jagmaga k dekhain
chopa hoa hai jo hasratoun main talaash es ki tumhain bhe ho gedoroun-e-dil jo aa gaey hain wo sare par de
utha k dekhain

agar muyassar hai chashm-e-bena tu wo nigahoun k saamnay haijo zarray zarray main bas raha hai usay nigahain jhuka k dekhain
wohi tu hai jo kamaal-e-fan se nizaam-e-duniya chala raha haijo uski hasti ko dekhna ho wajoud-e-hasti main aa k dekain
sama k soraj ki roushni main mitaaen duniya se teerge kofalak ki chadar pe ban k tare har ek shab jhilmila k dekhain
ghubar-e-dil ko bana k badal zamen pe barsain tu piyaar ban karnaaey shagofoun ki aankh ban k chaman chaman muskora k dekhain
wajood apna ho patharoun main tu naam apna ho laal-o-marjankabhi samandar main ban k moti sadaf k dil main sama k dekhain
kabhi tu dil se mita k nafrat muhabbatoun ki niyaaz baantaindiiye muhabat k apnay dil main kabhi tu Muzter jala k dekhain

khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq main


khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq main

khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq mainmanzil ganwa di ham ne musaafat k shauq main
nafrat hi pehr e daar mili har makaam parjis darr pe ham gaey hain mohaabat k shauq main
ham baargah e ishq main maqbool youn huekhud se bichar gaey teri qurbat k shauq main
lautay hain ab tou saath hai ranj o alam ki bheerniklay thay ghar se ik musarrat k shauq main
apnay chaman se raabta bilkul nahi rahasehra norad ho gaey daulat k shauq main
daaman main hasraton k siwa kuch nahi aey dostaisay lutay hain ham teri chahat k shauq main !!!

Uthay joh dard dheeray say muskuraa dana


Uthay joh dard dheeray say muskuraa dana

Uthay joh dard dheeray say muskuraa danaMilain joh gham toh mohabbat enhay bana lana
Tumhain khabar nahee es kam fahm zamanay kiMachaltee arzoo oan ko kahen chupa lana
Hai eskee bazm magar pas ay adab bhe aisa
Naa kuch bhe kehna aur subkuch esay sona lana
Samait kar tamaam dard eskee yaadoon kaa
Puranee kabar pay kutbaa naya lagaa lana
Dil kay sheeshay pay nae zarb laganay kalya
Tum apnay hath main pathar baraa utha lana
Zahaay naseeb kay tum mujhko yaad kartay ho
Warnaa mushkel toh nahe tha mujhay bholaa dana

Tuesday, 20 November 2012

Jub Tu Paida Hoya To Kitna Majbur Tha (تیری اور میری جنت)




جب توپیدا ہوا تو کتنا مجبور تھا

یہ جہاں تیری سوچوں سے بھی دور تھا

ہاتھ پائوں بھی تب تیرے اپنے نہ تھے

تیری آنکھوں میں دنیا کہ سپنےنہ تھے

تجھ کو آتا تھا جو کام وہ صرف رونا ہی تھا

دودھ پی کے تیرا کام صرف سونا ہی تھا

تجھ کو چلنا سکھایا ماں نے تیری

تجھ کو دل میں بسایا ماں نے تیری

ماں کے سائے میں پروان چھڑنےلگا

وقت کے ساتھ قد تیرا بڑھنے لگا

دھیرے دھیرے تو کڑیل جوان ہو گیا

تجھ پہ سارا جہاں مہرباں ہو گیا

زور بازو پہ تو بات کرنے لگا

خود ہی سجنے لگا خود سنورنے لگا

اک دن اک حسینہ تجھے بھا گی

بن کے دلہن وہ تیرے گھر آ گی

فرض اپنے سے تو دور ہونے لگا

بیچ نفرت کا خود ہی تو بولنے لگا

پھر تو ماں باپ کو بھی بھلانے لگا

تیر باتوں کے پھر توں چلانے لگا

بات بے بات ان سے تو لڑنے لگا

قائدہ اک نیا تو پھر پڑھنے لگا

یاد کر تجھ سے ماں نے کہا ایک دن

اب ہمارا گزارہ نہیں تیرے بن

سن کہ یہ بات تو طیش میں آ گیا

تیرا غصہ تیری عقل کو کھا گیا

جوش میں آکے تو نے یہ ماں سے کہا

میں تھا خاموش سب دیکھتا ہی رہا

آج کہتا ہوں پیچھا میرا چھوڑ دو

جو ہے رشتہ میرا تم سے وہ توڑ دو

جئو اجا کے کہیں کام دھندا کرو

لوگ مرتے ہیں تم بھی کہیں جا مرو

بیٹھ کر آہیں بھرتے تھے وہ رات بھر

ان کی آہوں کا تجھ پہ ہوا نہ اثر

اک دن باپ تیرا چلا روٹھ کر

کیسی بکھری تھی پھر تیری ما ں ٹوٹ کر

پھر وہ بے بس اجل کو بلاتی رہی

زندگی روز اسکوستا تی رہی

ایک دن موت کو بھی ترس آ گیا

اسکا رونا بھی تقدیرکو بھا گیا۔

اشک آنکھوں میں تھے وہ روانہ ہوئی

موت کی ایک ہچکی بہانہ ہوئی

اک سکوں اس کے چہرے پہ چھانے لگا

پھر تو میت کو اسکی سجانے لگا

مدتیں ہو گئیں آج بوڑھا ہے تو

جو پڑا ٹوٹی کٹھیا پہ کوڑا ہے تو

تیرے بچے بھی اب تجھ سے ڈرتے نہیں

نفرتیں ہیں محبت وہ کرتے نہیں

تو جو کھانسے تو اولاد ڈانٹے تجھے

تو ہے ناسور سکھ کون بانٹےتجھے

درد میں تو پکارے او میری ماں

تیرے دم سے روشن تھے دونوں جہاں

وقت چلتا رہےوقت رکتا نہیں

ٹوٹ جاتا ہے وہ جو کہ جھکتا نہیں

بن کے عبرت کو اب تو نشان رہ گیا

ڈھونڈ لے زور تیرا کہاں رہ گیا

تو احکام ربی کو بھلاتا رہا

اپنے ماں باپ کو تو ستاتا رہا

کاٹ لے تو وہی تو نے بویا تھا جو

تجھ کو کیسے ملے تو نےکھویا تھا جو

یاد کرکے گیا وقت تو رونے لگا

کل جو تو نے کیا آج ہونے لگا

موت مانگے تجھے موت آتی نہیں

ماں کی صورت نگاہوں سے جاتی نہیں

موت آئے گی تجھ کو مگر وقت پر

بن ہی جائے گی تیری قبر وقت پر

قدر ماں باپ کی اگر کوئی جان لے

اپنی جنت کو دنیا میں پہچان لے

اور لیتا رہے وہ بڑوں کی دعا

اسکے دونوں جہاں اسکا حامی خدا







Share



Post a Comment





Aanchal Teri Yadon Ka Bigo Dati Hai Barish Sochon Pay jammi gard ko Dho dati hai Barish



 Share

Post a Comment